Wednesday, May 24, 2006

Inspired poetry

Zikr-e-haalat unse kaise karein baayan
Rehm ki numaa..ish bhi unko agar nehi aati
Mei me aisa raha madhosh be intehaah
Sharab se bhi saali aasar nehi aati

Koi umeed ber nehi aati
Koi surat nazaar nehi aati
Maut kya aayegi tujhe Sameer
Neend bhi agar raat bhar nehi aati

Ghalib ka sher chura ta hai Sameer
Sharam tujko magar nehi aati

Labels:

5 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Rehem to tu kar Galib pe ai aaj ke shayar
Is kadar unke wajood ko to na zaya kar
Teri shayiri padh ke Galib bhi na ro de
Sar peet peet ke kahi wo apni taarif hi na kho de

Madhoshi ko alvida kar, ummeed kayam rakh Sameer
Jaane kitno ko ghayal kar de tere nazar ka ek teer:)
Fir kis gham me banne chala hai tu Galib aakhir??

Auro se ummeed na kar tu khud hi pe kar le rehem
Baat to zara si hai par samajh liya to hai bari ahem

12:44 PM  
Blogger Sameer Sarma said...

Jab Ghalib to aapne Galib bulaaya
Toh gareeb ki kabar se ek haalka sa aah aaya
Kabhi Ghalib ki shayiri, kisi aur ne saha hoga
Joh hum kehte hai aaj, kabhi Ghalib ne kaha hoga

2:16 PM  
Anonymous Anonymous said...

Shakespeare keh gaye, naam mei kya rakha hai
Fir bhi gusthakhi hui jo Ghalib ko Galib kaha hai.

Ghalib ke alfazo ki chori karte hai aap
Aapki is besharmi ko aadap

3:35 PM  
Anonymous Anonymous said...

anonymous yeh aap ke liye..

Na lana use meri janaje mein,

Mere mohabbat ki tohin hogi,


Na lana use meri janaje mein,

Mere mohabbat ki tohin hogi,

Mein char logo ke kandhe par hounga,

Aur wo paidal hogi.....

..wasted..

4:28 PM  
Blogger vijaydinanathchauhan said...

am back cheta.

4:08 PM  

Post a Comment

<< Home